Pyar jab milta nahi to hota q hai. Agar khawabo me wo aaye to insaan sote q hai jb yehi pyar aankho k samne kisi aur ka ho jaye.to dil itna rota q hai..
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
abke sawan main kuch aise shararat mere sath hui, bas ek mere ghar ko chodkar baki har jagah barsat hui…
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Naa woh aa sake naa hum kabhi jaa sake, Naa dard dil ka kisi ko suna sake. Bus baithe hai yaadon mein unki, Naa unhone yaad kiya aur naa hum unko bhula sake.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Kuch khabar nahin hum ko apna ya paraya hai, Dhoondne ye dil jis ko is gali mein aaya hai Hum duayein dete hain tum ko phir bhi jan-e-jan Magar tum ne is dil ko be-panah sataya hai Maar kar mujhe qatil ghumzada sa lagta hai Is liye to chalte huye thora larkhadaya hai Kash apne dil ki aag ashk se bujha sakte Rooth jab gaye ansu usne tab jalaya hai Bewafa zamane mein kuch wafa shanason ne Zikr-e-dil zamane se har qadam chhupaya hai Jal raha tha dil mera phir bhi shukr hai itna Unko is tamashe mein kuch maza to aaya hai So rahe the sir rakh ke aaj mere kandhe par Zeest mein sanam hum ne kuch maza to paya hai.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Kab the hum bejaan jo aaj jeene lage, Kab the hum hosh me jo aaj behoshi me peene lage. Kab thi woh hamari jo aaj hamse juda hai, Kab na tha hum me anurag jo mila nahi hume khuda hai.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Socha tha humne bhul jayenge tum ko, Phir kabhi yaad na aayenge tum ko Dil to masoom hai chal pada mohabbat ki raha par Samajh na paya Tum jaise bewafa ko Shikwa kya karein tum se hum sangdili ka Shikast to di hai humari saadgi ne hum ko.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
jiski aarzoo thi woh dilbar na mila, barso jiska intazar kiya woh pal na mila. ajib khel hai ye muhobbat ka, kisiko hum na mile to koi humko na mila.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
ishq me is kadar bewafa ho gaye, na khane ka ghum na pene ki sudh hai, kaam me dil lagta nahi, shyad is dil me koi gham to jaror hai
No comments:
Post a Comment