dil ke har lafzo ko bayan karte ye phool khusihya aur gam ko sametate ye phool har haal me jeena sikhaate ye phool mausam ke har rang ko sehna sikhate ye phool gam-e-dil ko hasna sikhate ye phool nai umeed aur umang jagate ye phool aankho se utar kar dil ko sukun pahuchate ye phool chanchal hawano ke sang ud jaana sikhate ye phool dilo ke darmiyan duriyan mitate ye phool raah chalte raahi ka dil lubhate ye phool fizayo ko mehkaate aur raaho me bichh jate ye phool dilruba ke hotho pe muskurahat laate ye phool
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Log ruk ruk kar sambhaltein kyon hain Dar lagta hain itna to ghar se nikaltein kyon hain Main na diya hu na koi tara hu Roshni wale mere naam se jaltein kyon hain Mod hota hain jawani ka sambhalne ke liye Aksar is mod par akar log phisaltein kyon hain
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Toota hai dil par tooti nahi hai aas Num hai palke magar fir bhi chal rahi hai saans Chahe ho jitne bhi gum par ye dil nahi hai niraash Aur khushi ke pal lautenge dil ko hai pura vishwas
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Gum mein muskurana toh hai ek kala Dard mein doob jane se na hua hai kisi ka bhala Chahe aap dikhti ho koi bhi bala Dil aapke bin bhi hai khushiyon mein dhala
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Dheere dheere dil ne dhadkna seekha Dheere dheere dil ne sambhalna seekha Dhhere dheere har raho pe chalna seekha Aur dheere dheere har mausam mein humne hasna seekha
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Meri Zindagi, Meri Jaan-e-Jaan Mujhe Le Chalo kabhi Us Jahan Jahan Tu Hi Mera Naseeb Ho Jahan Dil Se Tu hi Qareeb Ho Jahan Gham Kabhi Na Aa Saken Jahan Nafratein Na Sata Saken Jahan Qurb Ho, Jahan Ho Khushi Jahan Chahati Ho Hamein Zindagi Jahan Dil Mera Na Udaas Ho Jahan Her Jagah Teri Aas Ho Meri Zindagi Meri Jaan-e-Jaa Mujhay Lay Chalo kabhi Us Jahan
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Ho Gayi Hai Peer Parvat Si Pighalni Chaahiye Is Himalaya Se Koi Ganga Nikalni Chaahiye Aaj Ye Deewar, Pardon Ki Tarah Hilne Lagi Shart Lekin Thi Ki Ye Buniyaad Hilni Chaahiye Har Sadak Par, Har Gali Mein, Har Nagar, Har Gaanv Mein Haath Lehraate Hue Har Laash Chalni Chaahiye Sirf Hungama Khada Karna Mera Maksad Nahin Meri Koshish Hai Ki Ye Surat Badalni Chaahiye Mere Seene Mein Nahin To Tere Seene Mein Sahi Ho Kahin Bhi Aag, Lekin Aag Jalni Chaahiye
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Dard ki aanch par ghamon ko ubaal tu dil mein na zyaada vahmon ko paal tu saamne manzil aur sunhara aasmaan hai kaat de charon taraf bune ye jaal tu ye jamana na tere haath aayega madaari ban dikha koi kamaal tu ek chhed hai kaafi paani girane ko ek patthar aasmaan ki aur uchhaal tu nanhe ankur aaj nahi to kal niklenge bas ek lota jal isme daal tu
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Pyar ki kashti mein sawar do guldaste Saath khelte hai saath haste Khuda chahe bhi to inhe alag nahi kar sakta Kyuki manzil payenge zaroor ye ek din Chahe ho hazar raste
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
thokar khakar gungunana zindagi hai gum paakar muskurana zindagi hai sukh ke saath jiye to kya jiye gum bhulakar jashn manana zindagi hai
No comments:
Post a Comment