Monday, 1 February 2016

Sad Shayri Page 38

Sad Shayri Page 38


************************************************


Hum aapko pa kar khona nahi chahte,
Judai mai aapko rulna nahi chahte,
Aap humare hi rehna hamesha,
Hum bhi kisi aur k hona nahi chahte

************************************************


Khud ko akele ka tana na dia karo,
Yadoon ka gila shikwa bhi na kia karo,
Kya btaien tumko kitna karte hai yaad,
Hisab lagana ho toa apni sansien gin lia karo

************************************************


Mat karo tum woh wada jishe nibha na sako,
Mat chaho use jishe tum paa na sako
Pyar har kisi ka kaha pura hota hai ,
Pyar ka pehla akshar hi adhura hota hai.



************************************************


Kisi ke haath mein heera,
Kisi ke kaan mein heera
Humey heeron se kya matlab,
Hamara yaar hai heera

************************************************


Aap se dur ho kar hum jayenge kaha,
Aap jaisa dost hum payenge kaha,
Dil ko kaise bhi sambal lenge,
Par ankhon ke aansu hum chupayege kaha



************************************************


Mit chuki hai meri har khushi,
muskurane se kya fayda
Mere daman mai hai dag tera,
ab mitane se kya fayda
Lut gai hai meri har khushi,
Ab bachane se kya fayda
Tu mera tha na ho ga kabhi,
ye batane se kya fayda
Umar bhar tadhfe tere liye,
Ab jatane se kya fayda
Tu milega hai dil ko yakin,
Teri banhon mai nille yeh dam
Maut hojayegi fir hansi,
Fir tadapne se kya fayda
Ye to dil ki hai bateen sabhi,
Ab batane se kya fayda

************************************************


Mujarim hu tera aa mujhe jo chaahe sazaa de
Iss dil mai muhabbat ki sanam aag lagaa de
Jazbaat kaa dil me koi tufaan uthaa ke
Kahate hai jise pyaar zamaane ko dikhaa de
Duniyaa se kabhi pyaar kaa shikavaa na karunga
Le haath me khanjar meri gardan ko udaa de

************************************************


Ho sakta hai usne anjane mai hame rula dia
Usne dunia ke kehne pe hame bhula dia.
Hum to waise bhi akele thy,
Kya hua agar kisi ne ehsaas dila dia.

************************************************


Dushman ko hazaar mauke do ,
Ki woh tumhara dost ban jaye.
Lekin dost ko ek bhi mauka mat do,
Ki woh tumhara dushman ban jaye.

************************************************


Koi khawab in aankho mai sajaya hi nahi,
In bheegi palko ki gehrai koi samajh paya nahi.
Kisi ko kami mehsos ho humari,
Khuda ne hume aisa banaya hi nhi.

************************************************


Sad Shayri Page 37

Sad Shayri Page 37


************************************************


Na jane unn par itna yakin kyu hota hai, Na jane unka khayal bhi itna haseen hota hai, Suna hai ki pyar ka dard mitha hota hai, Toa iss ankh se nikla pani namkin kyu hota hai…



************************************************


Jinki raahon mein humne bhichai the sitare;
Unse kehte hai harpal aansuon ke sahare;
Ho gaye hai saare shikwe kitne kinare;
Magar phir bhi kyun woh hua na humare!

************************************************


Har Kisi Ka Yu Hi Dil Ko Intzar Nahi Hota,
Chahe Koi Bhi Kitne Kareeb Ho Yaaro,
Par Har Kisi Ko Kisi Se Pyar Nahi Hota.

************************************************


Dil Ke Zakhmo Par Marham Na Lagao Yaro,
Mujhe To Aadat Hain Zakhm Khane Ki,
Ye Zakhm To Unake Pyaar Ki Nishani Hain,
Main Ab Bhi Intzaar Karata Hu Jisake Aane Ki

************************************************


Karti Ho Has Ke Baate Par Dil Mein Gum Rakhti Ho,
Sirf Mujhse Chhupati Ho Auro Se Bayan Karati Ho,
Tumhe Malum Hain Hum Dil Ke Kitane Kareeb The,
Na Jane Tum Kyu Mujhse Itani Nafrat Karati Ho

************************************************


Mayoos mat hona, yeh aik guna hota hai
Milta vahi hai jo kismat main likha hota hai
Har cheez milhe humain, yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan mein hota hai

************************************************


Samajh aata nahi humein tera,
dil lagane ka sabab …
Muskurane ka sabab,
humein rulane ka sabab …
Mere rahoon mein aksar bichhata raha hai phool …
Samajh aata nahi kaante phir bichhane ka sabab …

************************************************


Marna ka tere gham me irada nahin
Hain ishq magar itna zayada bhi nahin

************************************************


Ajeeb dastane dastoor hai duniya kai
Ek me jo chah kar bhi tumse kuch kah na saki,
ek tum jo samajh kar bhi rah gaye anjaan hoke,
Kami to kuch nahi thi hamari chahato me,
Na jane qyu fir bhi ham aap se mil na sake

************************************************


Teri dosti ne mujhe mashoor kar diya, Zindagi jine ko majboor kar diya, Kya kahu main ab yaar tumse, Tune mujhe maut se bhi dur kar diya

************************************************


Mere dil ko ye akelapan gawara na tha, Hamari kashti behti rahi, koi kinara na tha, Yu to zameen pe bheje hai sitare khuda ne Par unsitaro me hamara koi na tha…………

************************************************